Tuntuni Chidiya Ka Pizaa Paraatha
Sundarvan mein Tuntuni Chidiya apni mummy-papa ke sath rehti thi. Tuntuni ka pita Monu Kabutar akhbaar bechne ka kaam kiya karta tha aur Tuntuni ki maa Tuni Chidiya, paraathe banakar apne ghar ke pas wale hotel mein diya karti thi.
Tuntuni bhi is kaam me Tuni chidiya ka haath bataya karti thi.
Ek din Monu Kabutar akhbaar bechne ja raha tha ki tabhi achanak vo gir gaya. Ye dekhkar Tuni darr jaati hai aur apne pati se puchti hai, “Are aapko ye kya ho gaya? Aise achanak kaise gir gaye?” Tuntuni,O Tuntuni, jaldi idhar aa, dekh tere pitaji gir gaye hain.” Tab Tuntuni wahan aati hai, “Kya hua mummy?” Tuntuni apni maa se puchti hai. Tab uski maa usse kehti hai, “Dekhona beta, tere pitaji ko achanak ye kya ho gaya? Abhi abhi to bhale change the.”
Tab Tuntuni apni maa ko kehti hai, “Mummy, tum rona band karo. Hum papa ko lekar hospital chalte hain.” Phir wo apne papa ko hosh mein laane ki koshish karne lagti hai. “Papa, papa, aankhein kholo papa.” Lekin Monu Kabutar koi jawab nahi deta. Vo behosh ho chuka tha.
Donon maa-beti Monu kabutar ko lekar hospital pahunchti hai, aur vahan doctor se kehati hain, “Doctor, jaldi se dekhiye mere pati ko kya ho gaya hai.” Tab doctor Kalpana, Monu ka checkup karti hai aur unhein bataati hai, “Behan ji, aapke pati ke aadhe shareer ne kaam karna band kar diya hai. Main ye kuchh dawaiyan de rahi hun. Inhein samay se dete rahiyega. Upar wale ne chaaha to ye jaldi theek ho jayenge.”
Dukhi mn se donon maa-beti Monu ko lekar ghar lautati hain. Tab tak Monu hosh me aa chuka tha. Vo Tuni se kehta hai, “Tuntuni ki maa, aisi jindagi kis kam ki? Isse achcha to main mar hi jata. Aisa karo, tum mujhe zehar dekar maar do.” Tab Tuni usko dilasa deti hai, “Is tarah himmat harne se bimari aur badhegi. Mera mn kehta hai tum jaldi theek ho jaoge.”
Tb Monu kehta hai, “Maine apni bitiya ke liye bade-bade sapne dekhe the. Socha tha iss sal Tuntuni ki dhumdham se shaadi kar dunga, lekin upar wale ne mujhe ye kis galti ki saza di hai? Ye to main bhi nahin jaanta.”
Tab tuni ne kaha, “Himmat matt haro or chalo ab dava khaakar aaram karo, jo hoga wo dekha jayega.” Tuni Chidiya apne pati ko dava dekar sula deti hai fir, dusre kamre me jakar foot-foot kar rone lagti hai.
Vo apne aap se kehti hai, “Pata nahin hamare hanste khelte ghar ko kiski nazar lag gayi. Ab ghar ka kharch, dawai ka kharch kaise chalega? Paraathe banakar itne paise to nahin milte ki main Monu Ji ko shehar le jakar kisi acche doctor se ilaaj kara sakun.”
Tab Tuntuni apni maa se kehti hai, “Maa, tum bhi Papa ki tarah chinta karne lagi. Main hun na, agar Pitaji kam karne layak nahin hai to kya hua, main hun na, sab theek ho jayega. Chalo ab apne aansu pochh lo.”
Is tarah kuchh din guzar gaye.
Ek din Tuntuni udaas mn se apne ghonsale ke bahar baithi thi. Tabhi uski saheli Jhumari Toti hathon mein ek dabba liye vahan aati hai aur Tuntuni se kehti hai, “Tuntuni tu udaas kyon baithi hai? Kayi dino se tu college bhi nahin aa rhi hai. Ye le main tere liye Pizza lekar aayi hu.
Tu ise khale. Maine do mangaya tha, ek tere liye aur ek apne liye, lekin tu aaj bhi college nahin aayi. Isiliye main tujhse milane tere ghar hi chali aayi.”
Tuntuni apni saheli ko batati hai, “Kya kahun Jhumari, achanak mere Papa ki tabiyat bigad gayi isiliye main aajkal college nahin ja pa rahi hu. Aisa karna tu sare notes mujhe de dena. Dekhti hoon kab tak college nahin ja paungi.”
Thodi der bad Jhumari Toti usse kehti hai, “Theek hai Tuntuni, main ab chalti hun. Kal main tumhare saare notes lakar aaugi.” Itna keh kr Jhumari Toti vahan se chali jaati hai. Tabhi vahan Tuntuni ki maa kisi kam se aati hai aur vo rakhe dabbe ko dekhkar Tuni se puchhti hai, “Tuntuni beta, is dabbe mein kya hai?”
Tab Tuntuni use batati hai, “Maa, ismein Pizza hai, Jhumari Toti lekar aayi thi.” Tuni dabba khol kr Pizza dekhne lagti hai aur Tuntuni se kehti hai, ‘’Are Tuntuni ye to bilkul paraathe ki tarah gol hai, bus is per kuchh sabjiyan lagi hui hai.”
Apni maa ki baten sunkar Tuntuni ashcharya se puchti hai, “Maa, kya tum aisa paratha banaa sakti ho? Ye bahut mehanga milta hai. Pakshi order karke ise Pizza Hut se mangate hai aur bade chav se khate hain.”
“Maa, main aisa karti hun, bazaar se jakar Pizza banane ka saman lekar aati hu. Agar tumne swadisht pizza bna diya to kal se main pizza paraathe ka stall lagaungi.”
Thodi der baad Tuntuni bazaar se Pizza banane ka sara saman lekar ghar aati hai aur apni maa ko dete hue kehti hai, “Ye lo maa, sara saman. Ab tumhe apni kalakari dikhani hai.”
Tuntuni us saman se ek Pizza banati hai aur apni beti ko dete hue kehti hai aur apni beti ko taste karne ke liye kehti hai. Tuntuni maa ke bnaye pizza paraatha ko khakr bahut tareef karti hai. “Maa, pizza paraatha bahut swadisht hai. Kal se main Pizza paraatha bechungi. Tum hotel ka paraatha banati ho na, sath mein thoda Pizza paraatha bhi banaa dena, jisse hamari kamayi thodi badh jayegi.”
Agale din se Tuntuni hotel ke samne apna Pizza paraatha stall laga leti hai.
“Swadisht Pizza paraatha, aao-aao swadisht pizza paraatha khao.” Aisa keh kar Tuntuni pakshiyon ko apni taraf aakarshit karti hai.
Uski aawaaz sunkar kayi pakshi uske Pizza paraatha ko khane ke liye aate hain aur Pizza paraatha khakar Pizza paraatha ki tareef karte hue aapas me baatein krte hain. “Iska swad to bahut badhiya hai aur sath mein healthy bhi hai.” Dheere-dheere Tuntuni ke pizza paraathe ki charcha pure jungle mein hone lagti hai.
Tuntuni ko Pizza paraathe ke kafi orders aane lage to Tuni, hotel ka paraatha banane ka kaam chhodkar Pizza paraatha banane lagi. Is tarah unki aamdani badhane lagi. Ye sab dekhkar Monu Kabutar bahut khush tha.
Kuchh dinon baad Tuntuni apne Pizza Paraatha bechne ke liye ek hotel khol leti hai. Iske sath hi Tuni apne pati Monu ka ilaaz sheher me karawati hai. Is tarah Tuntuni ka pura parivaar khushi-khushi rehne lagta hai.