Tuni chidiya ki matka maggie

Tuni Chidiya Ki Matka Maggie

Tuni Chidiya Ki Matka Maggie

Kanak Nagar ke chhote se jungle mein Tuni Chidiya apni beti Tuntuni ke sath rehti thi. Uska pati Chandu jungle mein maggie ka thela lagaya karta tha. 

Uski maggie bacchon ko bahut pasand thi. Kuchh dino pehle achanak uski tabiyat bigad gayi aur ek din uski maut ho gayi. Tab ghar chalane ke liye Tuni apne pati ke thele per maggie bechne lagi, lekin uski banai hui maggie bacchon ko pasand bilkul bhi nhi aati thi.

Ek din ek baccha Tuni se kehhta hai,“Aunty, aap ki banai hui maggie mein vo swad nhi jo Chandu uncle ki maggie mein hoti thi.” Fir vo baccha apne sathi se kahta hai,“Chal Bunty hum kahin aur chalkar maggie khate Hain.” 

Fir Tuni un bacchon se puchti hai, “Bacchon, batao meri banai hui maggie mein kya kami hai? Tab baccha kehta hai,“Hum kyun bataein? aap khud hi apni banai hui maggie kha kr dekh lo. Fir sabhi bacche pass wali dusri maggie ke thele per chale jaate hain. Bacchon ke chale jaane ke bad Tuni apni banai hui maggie kha kar dekhti hai. 

Fir kehti hai,“Are! iska swad to bahut achcha hai, fir yeh bacche kyun nhi kha rahe hain? Ye Meri samajh mein bilkul bhi nhi aa raha hai.” Subah se shaam ho jati hai, lekin Tuni Chidiya ki maggie bilkul bhi nhi bikti. Ye dekh kar Tuni Chidiya udaas ho jati hai. Dukhi mn se vo apne ghar laut aati hai.

Usi jungle mein Chandni koyal bhi apni beti Lucy ke sath rehti thi.

Vo matka bnakar becha karti thi. Aajkal uska bhi matke ka dhandha achcha nhi chal raha tha.

Pakshi usse ek matka kharidne ke liye bahut mol bhav karte the, jisse Chandni Koyal ko uske matke ki sahi qeemat nhi mil pati thi. Uske matke ki dukaan Tuni Chidiya ke maggie ke thele ke pass hi thi. 

Usi jungle mein Chandni koyal bhi apni beti Lucy ke sath rehti thi.

Vo matka bnakar becha karti thi. Aajkal uska bhi matke ka dhandha achcha nhi chal raha tha.

Pakshi usse ek matka kharidne ke liye bahut mol bhav karte the, jisse Chandni Koyal ko uske matke ki sahi qeemat nhi mil pati thi. Uske matke ki dukaan Tuni Chidiya ke maggie ke thele ke pass hi thi. 

Ek din jab Chandni matke bech rahi thi tab uski beti Lucy usse kehti hai,“Ma, mujhe maggie khani hai. Bahut din ho gaye tumne mujhe maggie nhi khilai. Mujhe kuchh paise do main aaj Tuni aunty ki maggie khareed kar khaungi.

Tab Chandni apni beti se kehti hai,“Tera dimag kharab ho gaya hai kya? Dopehar ho gayi hai. Abhi tak ek bhi matka ni bika. Pata nhi aaj ye matke bikenge bhi ya nhi aur tujhe maggie khane ki pdi hai? Kahan se main tujhe paise du?” 

Apni Maa ki daant sunkar Lucy rone lagti hai. Uska rona sunkar paas hi mein khadi Tuni se rha nhi gaya. Vo maggie lekar Lucy ke pass aati hai aur Lucy se kehti hai,“Ye le Lucy beta maggie, tujhe meri banai maggie bahut pasand hai na. Le kha le.

Tab Chandni Tuni se kehti hai,“Tuni behan, mere pass tumhein dene ko paise nhi hain. Subah se baithi hun, abhi tak ek bhi matka nhi bika hai. Tum meri beti ko udhaar ki maggie dekar ise mat bigaado. Tab Tuni Chidiya usse kehti hai,“Koi baat nhi Chandni behan, main maggie ke paise thodi na mang rahi hun. 

Waise bhi aajkal meri maggie khane bahut kam pakshi aate hain. Tab Chandani usse kehti hai, “Whi hal to mera bhi hai Tuni behan, jaldi koi mitti ke matke kharidta hi nhi. Jo bhi aata hai daam poochh kar chala jata hai. Pata nhi hum garibon ki halat kab sudhregi.

Tuni Chidiya Chandni se baatein karne lagti hai. Udhar Lucy maggie kha kar Tuni se kehti hai, “Tuni aunty, aapke hath ki banai maggie mujhe bahut swadisht lagi. Mujhe thoda aur do na.” Tuni use aur maggie deti hai. 

Is tarah kuchh din beet jaate hain. 

Ek din Tuni apni beti Tuntuni ko Chandni Koyal ke matke ke bare mein batati hai aur kehti hai, “Beta Chandni koyal ki halat bahut hi kharab hai. Bilkul hamari tarah. Bs fark itna hai ki vo mitti ke matke banati hai aur main maggie. Donon ke pass grahak nhi hain.

Tab Tuntuni kehti hai, “Maa, maine Matka Biryani, Matka Kulfi bazaar mein bikate hue dekha hai. Kyun na aap bhi Matka Maggie bechna shuru kar do?! Agar pakshiyon ko Matka maggie pasand aa gayi to Chandni aunty ko bhi iska fayda hoga. 

Hum unse matke lekar usmein maggie bna kar bechenge. Tab Tuni Chidiya kehti hai, “Tuntuni beta, teri baat to sahi hai.Aisa karti hun main, kal hi Chandni Koyal se kuchh matke lekar aaungi aur main Matka Maggie bechna shuru karungi. Agle din Tuni Matka Maggie apne thele per rakhkar bechne lagti hai.

Vo zor zor se chillati hai, “Matka maggie Khao, Matke mein bhi aao.” “Bacchon aao Tuni Chidiya ki Matka Maggie Khao.” Tuni Chidiya ki awaaz sunkar pass mein khel rahe kai sare pakshi ke bacche aate hain aur Tuni Chidiya ki Matka maggie khareed kar khane lagte hain. 

Us din se Tuni Chidiya ki Matka maggie ki bikri badh jaati hai aur sath mein Chandni Koyal ko bhi matke ki acchi qeemat milane lagti hai. 

Is tarah Tuni aur Chandni bhi khushi khushi apni betiyon ke sath apni zindagi bitane lagti hain.

Read the previous story –  Tunituni Chidiya ka Janamdin

1 thought on “Tuni Chidiya Ki Matka Maggie”

  1. Pingback: Tuni Chidiya Ka Auto Rickshaw Wala Ghar

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *