Tuni Chidiya Ka Auto Rickshaw Wala Ghar
Sitapur ke jungle mein Tuni Chidiya apne pati Jaggu Kabutar ke sath khushi khushi rehti thi. Uski ek beti thi, Tuntuni. Dono Pati-Patni apni beti se bahut pyaar karte the. Jaggu Kabutar auto rickshaw chalata tha. Ek din wo sawari lekar ja raha tha tabhi uski auto ka accident ho jata hai aur us acident me Jaggu kabutar ki maut ho jaati hai.
Ghar mein ab koi auto chalane wala nahin tha, isliye Jaggu ki auto uske ghonsle ke niche khadi rehti thi.
Jaggu ke marne ke bad Tuni Chidiya apne bhai Ramu Kauve ke ghar jaati hai, aur apne bhai se kehti hai, “Bhaiya, ab Tuntuni ke pita nahi rahe. Hum donon ka ab koi sahara nahi hai, main dane-dane ke liye taras gyi hun. Tumhara khayal aaya to tumse madad mangne chali aayi. Abhi meri beti Tuntuni bahut chhoti hai. Kya tum apne ghar mein hum maa-beti ko rehne ke liye thodi jagah doge?” Tab Tuni ka bhai usse kehta hai, “Han-han behna, is ghar per tumhara bhi utna hi haq hai jitna mera. Tum aaram se mere ghar mein reh sakti ho.”
Apne bhai ki ye batein sunkar, Tuni Chidiya bahut khush ho jaati hai.
Lekin usi samay, uski bhabhi Jamuna Kavi ko Tuni ka wahan rehana achcha nahin laga. Wo Ramu Kauve ko andar bulati hai. Ramu Kauwa apni behan se kehta hai, “Tum log yahan baitho, main abhi tumhari bhabhi se milkar aata hun. Pata nahin kyon vo mujhe bula rahi hai.” Ramu ghar ke andar jata hai aur apni patni se puchta hai, “Kya hai Bhagyavan? Tumne mujhe yahan kyon bulaya hai?” Tab uski patni usse kahati hai, “Pagal ho gaye ho kya? Jo apni behan aur bhanji ko yahan rahane ke liye bol rahe ho.
Jija ji ke marne ke bad humne inka theka le rakha hai kya? Ek to tumhari kamai bahut kam hai, upar se ye donon rehne lagenge to hum kahan se sbka kharcha chalane ke liye paise laaenge. Main kehati hun, abhi inhe yahan se jaane ke liye bol do, varna main yahan nahin rahungi. Main apne mayke chali jaungi.”
Tab Ramu Kauva kehta hai, “Dhire bolo, meri behana sun legi.” Tab uski patni bolati hai, “Sun legi to sun le. Meri bala se main usse darti hun kya? Ab jao, aur jakar jaldi se unhein yahan se dafa karo.” Bahar jakar, apni behan se Ramu Kauva kehta hai, “Behana, mujhe maaf kar de. Main tera bhai tujhe apne ghar mein nahin rakh sakta. Tu apna kahin aur intejaam kar le.” Tab Tuni apni bhai se kehti hai, “Bhaiya, tum sharminda mat ho. Musibat mein to apna saya bhi sath chhod deta hai. Main yahan se ja rahi hun.”
Itna kehkar, Tuni Chidiya apni beti Tuntuni ke sath wapas apne ghar laut aati hai. Agale din Tuni kaam ki talash mein jaati hai, use jungle mein majduri ka kam mil jata hai.
Is tarah samay guzarne lagta hai aur dekhte hi dekhte barish ka mausam aa jata hai.
Ek din Tuni ki padosan Jhumki Toti apne ghosle ki marmmat kar rahi thi, vo Tuni se puchhati hai,” Tuni behan, kya tum apne ghosle ki marmmat nahi karogi?” Tab Tuni kehati hai “Kaise karun? Samay hi nahin milta. Subah hote hi kam per chali jaati hun aur shaam hone per wapas aati hun. Agar ek din bhi kaam par nahi gayi, to pure hafte ki majduri ni milegi.” “Chlo, tum ab apne ghonsle ki marmmat karo, main kaam par jati hun.”
Ek din aakash mein kale kale badal ghir aaye aur bijali chamakne lagi. Yeh dekh kar Tuni dar jati hai, “Bhagwan raksha karna, meri beti ghar par akeli hai.”
Abhi vo itna soch hi rahi thi ki zoron se baarish hone lagti hai, Tuni jaldi jaldi apna kam khatm karke ghar wapas aati hai to dekhti hai uska ghonsla baarish ki wajah se toot chuka tha.
Apni maa ko dekhkar Tuntuni roti huyi uske paas aati hai. Vo puri tarah se bheeg chuki thi. Tuntuni apni maa se kehati ” Mamma-Mamma, ye dekho apna ghonsla toot gaya, ab hum log kahan rahenge itni tez barish mein?” Tab Tuni apni beti se kehati hai “Main kahan jaaun? Mere samajh mein kuchh nahin aa raha hai. Ab to mujhe kisi se madad mangne ki himmat bhi nahin hoti.”
Tab Tuntuni usse kehati hai “Mamma-mamma, aisa nahin ho sakta ki hum apni auto rickshaw ko hi ghar bana le aur usmein rahe?” Tab Tuni kehati hai “Ye to tune bahut hi acchi baat kahi. Tutuni, hum apni auto ko hi ghar banakar usmein rahenge or yahan se koi humein nikaal bhi nahin sakta hai.”
Tuni Chidiya turant us auto ki safai karti hai aur apni beti Tuntuni ke sath auto rickshaw wale ghar mein khushi khushi rehne lagti hai.